vo jo apni zaat mein rakhte hain uryaani ka shor | वो जो अपनी ज़ात में रखते हैं उर्यानी का शोर

  - Aisha Ayyub

vo jo apni zaat mein rakhte hain uryaani ka shor
khuld se aaye hain le ke rooh-e-yazdaani ka shor

dasht mein rahte hain pyaase aur dariche vaa kiye
khush hua karte hain sun ke door se paani ka shor

ek ladki choodiyaan khanka rahi thi aur tabhi
us khanak se uth raha tha jaise zindaani ka shor

har kisi ka ek laa-zaahir muqarrab hai magar
dushman-e-dauraan-e-duniya mein hai burhaani ka shor

mere ghar ke baam-o-dar sab ban gaye hain qissa-go
hai mohabbat ki khamoshi aur pashemaani ka shor

zabt-e-gham ko tool de jab zeest ki yaksaaniyat
maut ki awaaz se aata hai aasaani ka shor

main pari-paikar hoon lekin be-zabaan hargiz nahin
saari duniya ne suna hai zarf-e-niswaani ka shor

vo mujassam khush-badan yun to sukhanvar hai magar
us ke andar goonjtaa hai ramz-e-pinhaani ka shor

sab sitaare jhilmilaaye chaand ki aaghosh mein
jab andhere mein vo laaya apni tabaani ka shor

us ne parbat par sada di ja ke mujh ko aisha
aur wahan se laut aaya meri veeraani ka shor

वो जो अपनी ज़ात में रखते हैं उर्यानी का शोर
ख़ुल्द से आए हैं ले के रूह-ए-यज़्दानी का शोर

दश्त में रहते हैं प्यासे और दरीचे वा किए
ख़ुश हुआ करते हैं सुन के दूर से पानी का शोर

एक लड़की चूड़ियाँ खनका रही थी और तभी
उस खनक से उठ रहा था जैसे ज़िंदानी का शोर

हर किसी का एक ला-ज़ाहिर मुक़र्रब है मगर
दुश्मन-ए-दौरान-ए-दुनिया में है बुरहानी का शोर

मेरे घर के बाम-ओ-दर सब बन गए हैं क़िस्सा-गो
है मोहब्बत की ख़मोशी और पशेमानी का शोर

ज़ब्त-ए-ग़म को तूल दे जब ज़ीस्त की यकसानियत
मौत की आवाज़ से आता है आसानी का शोर

मैं परी-पैकर हूँ लेकिन बे-ज़बाँ हरगिज़ नहीं
सारी दुनिया ने सुना है ज़र्फ़-ए-निस्वानी का शोर

वो मुजस्सम ख़ुश-बदन यूँ तो सुख़नवर है मगर
उस के अंदर गूँजता है रम्ज़-ए-पिन्हानी का शोर

सब सितारे झिलमिलाए चाँद की आग़ोश में
जब अँधेरे में वो लाया अपनी ताबानी का शोर

उस ने पर्बत पर सदा दी जा के मुझ को 'आइशा'
और वहाँ से लौट आया मेरी वीरानी का शोर

  - Aisha Ayyub

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aisha Ayyub

As you were reading Shayari by Aisha Ayyub

Similar Writers

our suggestion based on Aisha Ayyub

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari