muskuraane ko musavvir ne kaha | मुस्कुराने को मुसव्विर ने कहा

  - Aisha Ayyub

muskuraane ko musavvir ne kaha
main ne koshish ki nahin mujh se hua

reza reza kar diya tum ne mujhe
mere malbe mein batao kya mila

lafz chehre par numoo hone lage
meri chup ne kaam apna kar diya

teri khushboo har taraf mehsoos ki
ek aisa phool furqat mein khila

dekhna hai aaj tujh ko ghaur se
hat zara peeche zara sa door ja

vo raha khaamosh meri baat par
kaam us ne saaf-goi se liya

khoobsurat mod par bichhden ge ham
faisla dono ne mil kar ye kiya

मुस्कुराने को मुसव्विर ने कहा
मैं ने कोशिश की नहीं मुझ से हुआ

रेज़ा रेज़ा कर दिया तुम ने मुझे
मेरे मलबे में बताओ क्या मिला

लफ़्ज़ चेहरे पर नुमू होने लगे
मेरी चुप ने काम अपना कर दिया

तेरी ख़ुशबू हर तरफ़ महसूस की
एक ऐसा फूल फ़ुर्क़त में खिला

देखना है आज तुझ को ग़ौर से
हट ज़रा पीछे ज़रा सा दूर जा

वो रहा ख़ामोश मेरी बात पर
काम उस ने साफ़-गोई से लिया

ख़ूबसूरत मोड़ पर बिछ्ड़ें गे हम
फ़ैसला दोनों ने मिल कर ये किया

  - Aisha Ayyub

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aisha Ayyub

As you were reading Shayari by Aisha Ayyub

Similar Writers

our suggestion based on Aisha Ayyub

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari