sote rahte hain muskuraate hain | सोते रहते हैं, मुस्कुराते हैं

  - Ajit Yadav

sote rahte hain muskuraate hain
jab tere khwaab gudgudaate hain

pehle se zindagi tamasha hai
us pe vo apna dukh sunaate hain

ab teri yaad mein hua yun ki
chaai peete nahin sud-sudaate hain

main bahut door rehta hoon un se
jo mohabbat ko fan bataate hain

hijr tanhaai aur naakaami
pankhe ko kaam bhi dilaate hain

सोते रहते हैं, मुस्कुराते हैं
जब तेरे ख़्वाब गुदगुदाते हैं

पहले से ज़िंदगी तमाशा है
उस पे वो अपना दुख सुनाते हैं

अब तेरी याद में हुआ यूँ की
चाय पीते नहीं सुड़-सुड़ाते हैं

मैं बहुत दूर रहता हूँ उन से
जो मोहब्बत को फ़न बताते हैं

हिज़्र, तन्हाई और नाकामी
पंखे को काम भी दिलाते हैं

  - Ajit Yadav

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajit Yadav

As you were reading Shayari by Ajit Yadav

Similar Writers

our suggestion based on Ajit Yadav

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari