ham apne-aap mein rahte hain dam mein dam jaise
hamaare saath hon do-chaar bhi jo ham jaise
kise dimaagh junoon ki mizaaj-pursi ka
sunega kaun guzarti hai shaam-e-gham jaise
bhala hua ki tira naqsh-e-paa nazar aaya
khird ko raasta samjhe hue the ham jaise
meri misaal to aisi hai jaise khwaab koi
mera vujood samajh leejie adam jaise
ab aap khud hi bataayein ye zindagi kya hai
karam bhi us ne kiye hain magar sitam jaise
हम अपने-आप में रहते हैं दम में दम जैसे
हमारे साथ हों दो-चार भी जो हम जैसे
किसे दिमाग़ जुनूँ की मिज़ाज-पुर्सी का
सुनेगा कौन गुज़रती है शाम-ए-ग़म जैसे
भला हुआ कि तिरा नक़्श-ए-पा नज़र आया
ख़िरद को रास्ता समझे हुए थे हम जैसे
मिरी मिसाल तो ऐसी है जैसे ख़्वाब कोई
मिरा वजूद समझ लीजिए अदम जैसे
अब आप ख़ुद ही बताएँ ये ज़िंदगी क्या है
करम भी उस ने किए हैं मगर सितम जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading Rahbar Shayari Shayari