jo ashk barsa rahe hain saahib
ye raayegaan ja rahe hain saahib
yahi taghayyur to zindagi hai
abas ghule ja rahe hain saahib
jo ho gaya hai so ho gaya hai
fuzool pachta rahe hain saahib
ye sirf ginti ke chaar din hain
bade maze aa rahe hain saahib
abhi to ye khaak ho rahega
jo jism chamka rahe hain saahib
koi iraada na koi jaada
kahaan kidhar ja rahe hain saahib
idhar zara ghaur se to dekhen
ye phool murjha rahe hain saahib
jahaan ki naayafta ke sabab mein
jahaan ka gham kha rahe hain saahib
ye main nahin hoon ye mera dil hai
ye kis ko samjha rahe hain saahib
sukoon ki neend soiega
vo din bhi bas aa rahe hain saahib
jo aap ke hijr mein mile hain
ye din gine ja rahe hain saahib
bas ab nahin kuchh bhi yaad mujh ko
bas aap yaad aa rahe hain saahib
जो अश्क बरसा रहे हैं साहिब
ये राएगाँ जा रहे हैं साहिब
यही तग़य्युर तो ज़िंदगी है
अबस घुले जा रहे हैं साहिब
जो हो गया है सो हो गया है
फ़ुज़ूल पछता रहे हैं साहिब
ये सिर्फ़ गिनती के चार दिन हैं
बड़े मज़े आ रहे हैं साहिब
अभी तो ये ख़ाक हो रहेगा
जो जिस्म चमका रहे हैं साहिब
कोई इरादा न कोई जादा
कहाँ किधर जा रहे हैं साहिब
इधर ज़रा ग़ौर से तो देखें
ये फूल मुरझा रहे हैं साहिब
जहाँ की नायाफ़्त के सबब में
जहाँ का ग़म खा रहे हैं साहिब
ये मैं नहीं हूँ ये मेरा दिल है
ये किस को समझा रहे हैं साहिब
सुकून की नींद सोइएगा
वो दिन भी बस आ रहे हैं साहिब
जो आप के हिज्र में मिले हैं
ये दिन गिने जा रहे हैं साहिब
बस अब नहीं कुछ भी याद मुझ को
बस आप याद आ रहे हैं साहिब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading One sided love Shayari Shayari