kisi ki qaid se azaad ho ke rah gaye hain
tabaah ho gaye barbaad ho ke rah gaye hain
ab aur kya ho tamanna-e-vasl ka anjaam
dil o dimaagh tiri yaad ho ke rah gaye hain
kahein to qissa-e-ahwaal mukhtasar ye hai
ham apne ishq ki roodaad ho ke rah gaye hain
kisi ki yaad dilon ka qaraar thehri hai
kisi ke zikr se dil shaad ho ke rah gaye hain
tire huzoor jo rask-e-bahaar the ajmal
kharaab-o-khwaar tire b'ad ho ke rah gaye hain
किसी की क़ैद से आज़ाद हो के रह गए हैं
तबाह हो गए बर्बाद हो के रह गए हैं
अब और क्या हो तमन्ना-ए-वस्ल का अंजाम
दिल ओ दिमाग़ तिरी याद हो के रह गए हैं
कहें तो क़िस्सा-ए-अहवाल मुख़्तसर ये है
हम अपने इश्क़ की रूदाद हो के रह गए हैं
किसी की याद दिलों का क़रार ठहरी है
किसी के ज़िक्र से दिल शाद हो के रह गए हैं
तिरे हुज़ूर जो रश्क-ए-बहार थे 'अजमल'
ख़राब-ओ-ख़्वार तिरे ब'अद हो के रह गए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading Ulfat Shayari Shayari