tere siva kisi ki tamannaa karunga main
aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main
go gham aziz hai mujhe tere firaq ka
phir bhi is imtihaan ka shikwa karunga main
aankhon ko ashk o khun bhi faraham karunga main
dil ke liye bhi dard muhayya karunga main
raahat bhi ranj ranj bhi raahat ho jab to phir
kya etibaar-e-khwaahish-e-duniya karunga main
rakha hai kya jahaan mein ye aur baat hai
ye aur baat hai ki taqaza karunga main
ye raahguzaar ki jaa-e-qayaam-o-qaraar thi
yaani ab us gali se bhi guzra karunga main
yaani kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho
is ehtiyaat se tujhe dekha karunga main
hai dekhne ki cheez to ye iltifaat bhi
dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main
hairaan o dil-shikasta hoon is haal-e-zaar par
kab jaanta tha apna tamasha karunga main
haan kheench loonga waqt ki zanjeer paanv se
ab ke bahaar aayi to aisa karunga main
तेरे सिवा किसी की तमन्ना करूँगा मैं
ऐसा कभी हुआ है जो ऐसा करूँगा मैं
गो ग़म अज़ीज़ है मुझे तेरे फ़िराक़ का
फिर भी इस इम्तिहान का शिकवा करूँगा मैं
आँखों को अश्क ओ ख़ूँ भी फ़राहम करूँगा मैं
दिल के लिए भी दर्द मुहय्या करूँगा मैं
राहत भी रंज, रंज भी राहत हो जब तो फिर
क्या एतिबार-ए-ख़्वाहिश-ए-दुनिया करूँगा मैं
रक्खा है क्या जहान में ये और बात है
ये और बात है कि तक़ाज़ा करूँगा मैं
ये रहगुज़र कि जा-ए-क़याम-ओ-क़रार थी
यानी अब उस गली से भी गुज़रा करूँगा मैं
यानी कुछ इस तरह कि तुझे भी ख़बर न हो
इस एहतियात से तुझे देखा करूँगा मैं
है देखने की चीज़ तो ये इल्तिफ़ात भी
देखोगे तुम गुरेज़ भी ऐसा करूँगा मैं
हैरान ओ दिल-शिकस्ता हूँ इस हाल-ए-ज़ार पर
कब जानता था अपना तमाशा करूँगा मैं
हाँ खींच लूँगा वक़्त की ज़ंजीर पाँव से
अब के बहार आई तो ऐसा करूँगा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading Qaid Shayari Shayari