main ne ai dil tujhe seene se lagaaya hua hai | मैं ने ऐ दिल तुझे सीने से लगाया हुआ है

  - Ajmal Siraj

main ne ai dil tujhe seene se lagaaya hua hai
aur tu hai ki meri jaan ko aaya hua hai

bas isee bojh se dohri hui jaati hai kamar
zindagi ka jo ye ehsaan uthaya hua hai

kya hua gar nahin baadal ye barsne waala
ye bhi kuchh kam to nahin hai jo ye aaya hua hai

raah chalti hui is raahguzar par ajmal
ham samjhte hain qadam ham ne jamaaya hua hai

ham ye samjhe the ki ham bhool gaye hain us ko
aaj be-tarah hamein yaad jo aaya hua hai

vo kisi roz hawaon ki tarah aayega
raah mein jis ki diya ham ne jalaya hua hai

kaun batlaaye use apna yaqeen hai ki nahin
vo jise ham ne khuda apna banaya hua hai

yoonhi deewaana bana firta hai warna ajmal
dil mein baitha hua hai zehan pe chaaya hua hai

मैं ने ऐ दिल तुझे सीने से लगाया हुआ है
और तू है कि मिरी जान को आया हुआ है

बस इसी बोझ से दोहरी हुई जाती है कमर
ज़िंदगी का जो ये एहसान उठाया हुआ है

क्या हुआ गर नहीं बादल ये बरसने वाला
ये भी कुछ कम तो नहीं है जो ये आया हुआ है

राह चलती हुई इस राहगुज़र पर 'अजमल'
हम समझते हैं क़दम हम ने जमाया हुआ है

हम ये समझे थे कि हम भूल गए हैं उस को
आज बे-तरह हमें याद जो आया हुआ है

वो किसी रोज़ हवाओं की तरह आएगा
राह में जिस की दिया हम ने जलाया हुआ है

कौन बतलाए उसे अपना यक़ीं है कि नहीं
वो जिसे हम ने ख़ुदा अपना बनाया हुआ है

यूँही दीवाना बना फिरता है वर्ना 'अजमल'
दिल में बैठा हुआ है ज़ेहन पे छाया हुआ है

  - Ajmal Siraj

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siraj

As you were reading Shayari by Ajmal Siraj

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siraj

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari