sooni hai chaap bahut waqt ke guzarne ki
magar ye zakham ki hasrat hai jis ke bharne ki
hamaare sar pe to ye aasmaan toot pada
ghadi jab aayi sitaaron se maang bharne ki
girah mein daam to rakhte hain zahar khaane ko
ye aur baat ki furqat nahin hai marne ki
bahut malaal hai tujh ko na dekh paane ka
bahut khushi hai tiri raah se guzarne ki
batao tum se kahaan raabta kiya jaaye
kabhi jo tum se zaroorat ho baat karne ki
सुनी है चाप बहुत वक़्त के गुज़रने की
मगर ये ज़ख़्म कि हसरत है जिस के भरने की
हमारे सर पे तो ये आसमान टूट पड़ा
घड़ी जब आई सितारों से माँग भरने की
गिरह में दाम तो रखते हैं ज़हर खाने को
ये और बात कि फ़ुर्सत नहीं है मरने की
बहुत मलाल है तुझ को न देख पाने का
बहुत ख़ुशी है तिरी राह से गुज़रने की
बताओ तुम से कहाँ राब्ता किया जाए
कभी जो तुम से ज़रूरत हो बात करने की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading Khushi Shayari Shayari