pesh jo aaya sar-e-saahil-e-shab batlaaya
mauj-e-gham ko bhi magar mauj-e-tarab batlaaya
hai bataane ki koi cheez bhala naam-o-nasab
ham ne poocha na kabhi naam-o-nasab batlaaya
rang mehfil ka ajab ho gaya jis dam us ne
khaamoshi ko bhi meri husn-e-talab batlaaya
dil ko duniya se sarokaar kabhi tha hi nahin
aankh ne bhi magar is rukh ko ajab batlaaya
ye udaasi ka sabab poochne waale ajmal
kya karenge jo udaasi ka sabab batlaaya
पेश जो आया सर-ए-साहिल-ए-शब बतलाया
मौज-ए-ग़म को भी मगर मौज-ए-तरब बतलाया
है बताने की कोई चीज़ भला नाम-ओ-नसब
हम ने पूछा न कभी नाम-ओ-नसब बतलाया
रंग महफ़िल का अजब हो गया जिस दम उस ने
ख़ामुशी को भी मिरी हुस्न-ए-तलब बतलाया
दिल को दुनिया से सरोकार कभी था ही नहीं
आँख ने भी मगर इस रुख़ को अजब बतलाया
ये उदासी का सबब पूछने वाले 'अजमल'
क्या करेंगे जो उदासी का सबब बतलाया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading Duniya Shayari Shayari