mere vujood mein girye ki la-zawaali hai
udaasiyon ne meri daagh-bel daali hai
mujhe wafaon se gunjaan karne waale palat
palat ki khaana-e-dil yaad se bhi khaali hai
vo shakhs kaash ki apna jawaab bhi rakhta
bichhad ke jis se meri zindagi sawaali hai
bisaat-e-jaan pe mera khel inhimaak se dekh
bahut hi jald meri maat hone waali hai
bahut se asl khuda aazma chuka hoon main
isee sabab se to mera khuda khayaali hai
मिरे वजूद में गिर्ये की ला-ज़वाली है
उदासियों ने मिरी दाग़-बेल डाली है
मुझे वफ़ाओं से गुंजान करने वाले पलट
पलट कि ख़ाना-ए-दिल याद से भी ख़ाली है
वो शख़्स काश कि अपना जवाब भी रखता
बिछड़ के जिस से मिरी ज़िन्दगी सवाली है
बिसात-ए-जाँ पे मिरा खेल इंहिमाक से देख
बहुत ही जल्द मिरी मात होने वाली है
बहुत से अस्ल ख़ुदा आज़मा चुका हूँ मैं
इसी सबब से तो मेरा ख़ुदा ख़याली है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akash Arsh
our suggestion based on Akash Arsh
As you were reading Hijrat Shayari Shayari