husn hi ke dam se hain ye kahaaniyaan saari
ishq hi sikhaata hai khush-bayaniyaan saari
khwaab aur khushboo ko chaahaton ke jaadu ko
qaid kar ke dikhlaayen paasbaaniyaan saari
dil ki dhadkano par hai inhisaar-e-afsana
ek si nahin hoti naujawaaniyaan saari
ik tabassum-e-pinhaan ik nigaah-e-duzdida
aur phir kahaani theen sargiraaniyaan saari
yaad ban ke pahluu mein mausamon ke bistar par
karvatein badalti hain mehrabaaniyaan saari
kya ginaayen ab tum ko haan saja ke rakhi hain
ham ne goshe goshe mein vo nishaaniyaan saari
हुस्न ही के दम से हैं ये कहानियाँ सारी
इश्क़ ही सिखाता है ख़ुश-बयानियाँ सारी
ख़्वाब और ख़ुशबू को चाहतों के जादू को
क़ैद कर के दिखलाएँ पासबानियाँ सारी
दिल की धड़कनों पर है इंहिसार-ए-अफ़्साना
एक सी नहीं होतीं नौजवानियाँ सारी
इक तबस्सुम-ए-पिन्हाँ इक निगाह-ए-दुज़्दीदा
और फिर कहानी थीं सर-गिरानियाँ सारी
याद बन के पहलू में मौसमों के बिस्तर पर
करवटें बदलती हैं मेहरबानियाँ सारी
क्या गिनाएँ अब तुम को हाँ सजा के रक्खी हैं
हम ने गोशे गोशे में वो निशानियाँ सारी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah
our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah
As you were reading Promise Shayari Shayari