tera khayal jaan ke barabar laga mujhe
tu meri zindagi hai ye akshar laga mujhe
dariya tire jamaal ke hain kitne is mein gum
socha to apna dil bhi samundar laga mujhe
lootaa jo us ne mujh ko to aabaad bhi kiya
ik shakhs rahzani mein bhi rahbar laga mujhe
kya baat thi ki qissa-e-farhaad-e-kohkan
apni hi daastaan-e-saraasar laga mujhe
aamad ne teri kar diya aabaad is tarah
khud apna pehli baar mera ghar laga mujhe
aaya hai kaun meri ayaadat ke vaaste
kyun apna haal pehle se behtar laga mujhe
kya yaad aa gaya mujhe kyun yaad aa gaya
guncha khila jo shaakh pe patthar laga mujhe
तेरा ख़याल जाँ के बराबर लगा मुझे
तू मेरी ज़िंदगी है ये अक्सर लगा मुझे
दरिया तिरे जमाल के हैं कितने इस में गुम
सोचा तो अपना दिल भी समुंदर लगा मुझे
लूटा जो उस ने मुझ को तो आबाद भी किया
इक शख़्स रहज़नी में भी रहबर लगा मुझे
क्या बात थी कि क़िस्सा-ए-फ़रहाद-ए-कोहकन
अपनी ही दास्तान-ए-सरासर लगा मुझे
आमद ने तेरी कर दिया आबाद इस तरह
ख़ुद अपना पहली बार मिरा घर लगा मुझे
आया है कौन मेरी अयादत के वास्ते
क्यूँ अपना हाल पहले से बेहतर लगा मुझे
क्या याद आ गया मुझे क्यूँ याद आ गया
ग़ुंचा खिला जो शाख़ पे पत्थर लगा मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah
our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah
As you were reading Kashmir Shayari Shayari