saza hai kis ke liye aur jazaa hai kis ke liye
pata nahin dar-e-zindan khula hai kis ke liye
suraahi-e-may-e-naab-o-safeena-ha-e-ghazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likha hai kis ke liye
faqat shuneed hai ab tak jo deed ho to bataayein
bahaar-e-sabza-o-raks-e-saba hai kis ke liye
nahin jo apne liye baawajood zauq-e-nazar
sahifa-e-rukh-o-rang-e-hina hai kis ke liye
mita sake na agar tishna-kaamiyaan meri
kaho ki khoobi-e-aab-o-hawaa hai kis ke liye
tumhein nahin ho agar aaj gosh-bar-awaaz
ye meri fikr ye meri nava hai kis ke liye
ye ik sawaal hai shikwa nahin gila bhi nahin
mere khuda tira lutf-o-ata hai kis ke liye
सज़ा है किस के लिए और जज़ा है किस के लिए
पता नहीं दर-ए-ज़िंदाँ खुला है किस के लिए
सुराही-ए-मय-ए-नाब-ओ-सफीना-हा-ए-ग़ज़ल
ये हर्फ़-ए-हुस्न-ए-मुक़द्दर लिखा है किस के लिए
फ़क़त शुनीद है अब तक जो दीद हो तो बताएँ
बहार-ए-सब्ज़ा-ओ-रक़्स-ए-सबा है किस के लिए
नहीं जो अपने लिए बावजूद ज़ौक़-ए-नज़र
सहीफ़ा-ए-रुख़-ओ-रंग-ए-हिना है किस के लिए
मिटा सके न अगर तिश्ना-कामियाँ मेरी
कहो कि ख़ूबी-ए-आब-ओ-हवा है किस के लिए
तुम्हें नहीं हो अगर आज गोश-बर-आवाज़
ये मेरी फ़िक्र ये मेरी नवा है किस के लिए
ये इक सवाल है शिकवा नहीं गिला भी नहीं
मिरे ख़ुदा तिरा लुत्फ़-ओ-अता है किस के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah
our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah
As you were reading Qaid Shayari Shayari