ye tan ghira hua chhote se ghar mein rehta hai
par apna man ki jo har dam safar mein rehta hai
dhanak ki tarah nikhrta hai shab ko khwaabon mein
wahi jo din ko meri chashm-e-tar mein rehta hai
visaal us ko likhoon main ki hijr ka aaghaaz
jo ek lamha musalsal nazar mein rehta hai
chalo vo ham nahin koi to hai zaroor ki jo
sukoon se saaya-e-deewaar-o-dar mein rehta hai
hai tang jis pe bahut wusa'at-e-zabaan-o-bayaan
vo harf ik nigaah-e-mukhtasar mein rehta hai
ये तन घिरा हुआ छोटे से घर में रहता है
पर अपना मन कि जो हर दम सफ़र में रहता है
धनक की तरह निखरता है शब को ख़्वाबों में
वही जो दिन को मिरी चश्म-ए-तर में रहता है
विसाल उस को लिखूँ मैं कि हिज्र का आग़ाज़
जो एक लम्हा मुसलसल नज़र में रहता है
चलो वो हम नहीं कोई तो है ज़रूर कि जो
सुकूँ से साया-ए-दीवार-ओ-दर में रहता है
है तंग जिस पे बहुत वुसअ'त-ए-ज़बान-ओ-बयाँ
वो हर्फ़ इक निगह-ए-मुख़्तसर में रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah
our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah
As you were reading Breakup Shayari Shayari