tumhaare dil ki tarah ye zameen tang nahin | तुम्हारे दिल की तरह ये ज़मीन तंग नहीं

  - Akbar Ali Khan Arshi Zadah

tumhaare dil ki tarah ye zameen tang nahin
khuda ka shukr ki paanv mein apne lang nahin

ajeeb us se ta'alluq hai kya kaha jaaye
kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin

koi batao ki is aaine ka mol hai kya
jis aaine pe nishaan-e-gubaar-o-zang nahin

mera junoon hai kotaah ya ye shehr-e-tabaah
jo zakham-e-sar ke liye yaa talaash-e-sang nahin

hain saare qaafila-salaar sab hain raah-numa
ye kya safar hai jo koi kisi ke sang nahin

jo kuchh mata-e-hunar ho to saamne laao
ki ye zamaana-e-izhaar-e-nasl-o-rang nahin

तुम्हारे दिल की तरह ये ज़मीन तंग नहीं
ख़ुदा का शुक्र कि पाँव में अपने लंग नहीं

अजीब उस से तअ'ल्लुक़ है क्या कहा जाए
कुछ ऐसी सुल्ह नहीं है कुछ ऐसी जंग नहीं

कोई बताओ कि इस आइने का मोल है क्या
जिस आइने पे निशान-ए-गुबार-ओ-ज़ंग नहीं

मिरा जुनून है कोताह या ये शहर-ए-तबाह
जो ज़ख़्म-ए-सर के लिए याँ तलाश-ए-संग नहीं

हैं सारे क़ाफ़िला-सालार सब हैं राह-नुमा
ये क्या सफ़र है जो कोई किसी के संग नहीं

जो कुछ मता-ए-हुनर हो तो सामने लाओ
कि ये ज़माना-ए-इज़हार-ए-नस्ल-ओ-रंग नहीं

  - Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari