kiya hai main ne ta'aqub vo subh-o-shaam apna | किया है मैं ने तआ'क़ुब वो सुब्ह-ओ-शाम अपना - Akbar Ali Khan Arshi Zadah

kiya hai main ne ta'aqub vo subh-o-shaam apna
main dasht dasht pukaara kiya hoon naam apna

main tujh ko bhool na paau yahi saza hai meri
main apne-aap se leta hoon intiqaam apna

ye nisbatein kabhi zaati kabhi sifaati hain
har ek shakl mein laazim hai ehtiraam apna

isee talash mein pahuncha hoon ishq tak tere
ki is hawaale se pa jaaun main davaam apna

na jaane khud se hai ye guftugoo ki tujh se hai
na jaane kis se mukhaatab hai ye kalaam apna

किया है मैं ने तआ'क़ुब वो सुब्ह-ओ-शाम अपना
मैं दश्त दश्त पुकारा किया हूँ नाम अपना

मैं तुझ को भूल न पाऊँ यही सज़ा है मिरी
मैं अपने-आप से लेता हूँ इंतिक़ाम अपना

ये निस्बतें कभी ज़ाती कभी सिफ़ाती हैं
हर एक शक्ल में लाज़िम है एहतिराम अपना

इसी तलाश में पहुँचा हूँ इश्क़ तक तेरे
कि इस हवाले से पा जाऊँ मैं दवाम अपना

न जाने ख़ुद से है ये गुफ़्तुगू कि तुझ से है
न जाने किस से मुख़ातब है ये कलाम अपना

- Akbar Ali Khan Arshi Zadah
0 Likes

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari