ye shauq saare yaqeen-o-gumaan se pehle tha | ये शौक़ सारे यक़ीन-ओ-गुमाँ से पहले था - Akbar Ali Khan Arshi Zadah

ye shauq saare yaqeen-o-gumaan se pehle tha
main sajda-rez navaa-e-azaan se pehle tha

hain kaayenaat ki sab wusa'aten usi ki gawaah
jo har zameen se har aasmaan se pehle tha

sitam hai us se kahoon jism-o-jaan pe kya guzri
ki jis ko ilm mere jism-o-jaan se pehle tha

usi ne di hai wahi ek din bujhaayega pyaas
jo soz-e-seena-e-o-ashk-e-ravaan se pehle tha

usi se thi aur usi se rahegi apni talab
jo aarzoo ki har ik een-o-aan se pehle tha

vo sun raha hai meri be-zabaaniyon ki zabaan
jo harf-o-saut-o-sadaa-o-zabaan se pehle tha

ye hamd husn-e-bayaan hai mera ki izz-e-sukhan
har ek wasf jab us ka bayaan se pehle tha

ये शौक़ सारे यक़ीन-ओ-गुमाँ से पहले था
मैं सज्दा-रेज़ नवा-ए-अज़ाँ से पहले था

हैं काएनात की सब वुसअ'तें उसी की गवाह
जो हर ज़मीन से हर आसमाँ से पहले था

सितम है उस से कहूँ जिस्म-ओ-जाँ पे क्या गुज़री
कि जिस को इल्म मिरे जिस्म-ओ-जाँ से पहले था

उसी ने दी है वही एक दिन बुझाएगा प्यास
जो सोज़-ए-सीना-ए-ओ-अश्क-ए-रवाँ से पहले था

उसी से थी और उसी से रहेगी अपनी तलब
जो आरज़ू की हर इक ईन-ओ-आँ से पहले था

वो सुन रहा है मिरी बे-ज़बानियों की ज़बाँ
जो हर्फ़-ओ-सौत-ओ-सदा-ओ-ज़बाँ से पहले था

ये हम्द हुस्न-ए-बयाँ है मिरा कि इज्ज़-ए-सुख़न
हर एक वस्फ़ जब उस का बयाँ से पहले था

- Akbar Ali Khan Arshi Zadah
0 Likes

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari