sannaata toofaan se siva ho ye bhi to ho saka hai
ye kuchh aur bada dhoka ho ye bhi to ho saka hai
zabt-e-junoon se andaazon par dar to band nahin hote
tu mujh se badh kar rusva ho ye bhi to ho saka hai
rahne de ye harf-e-tasalli meri himmat past na kar
naakaami hi mein rasta ho ye bhi to ho saka hai
dhoondhne waala dhundh raha hai aur andaaz jafaon ke
mujh ko wafa ka zakham laga ho ye bhi to ho saka hai
laao ik lamhe ko apne-aap mein doob ke dekh aaun
khud mujh mein hi mera khuda ho ye bhi to ho saka hai
mujh ko to ye e'zaaz bahut hai lekin teri tamannaa ne
mere labon se kaam liya ho ye bhi to ho saka hai
aakhir apne qadmon ko kyun ham mulzim thehraate hain
raahon ne munh mod liya ho ye bhi to ho saka hai
mere tasavvur ne bakshi hai tanhaai ko bhi ik mehfil
tu mehfil mehfil tanhaa ho ye bhi to ho saka hai
सन्नाटा तूफ़ाँ से सिवा हो ये भी तो हो सकता है
ये कुछ और बड़ा धोका हो ये भी तो हो सकता है
ज़ब्त-ए-जुनूँ से अंदाज़ों पर दर तो बंद नहीं होते
तू मुझ से बढ़ कर रुस्वा हो ये भी तो हो सकता है
रहने दे ये हर्फ़-ए-तसल्ली मेरी हिम्मत पस्त न कर
नाकामी ही में रस्ता हो ये भी तो हो सकता है
ढूँडने वाला ढूँड रहा है और अंदाज़ जफ़ाओं के
मुझ को वफ़ा का ज़ख़्म लगा हो ये भी तो हो सकता है
लाओ इक लम्हे को अपने-आप में डूब के देख आऊँ
ख़ुद मुझ में ही मेरा ख़ुदा हो ये भी तो हो सकता है
मुझ को तो ये ए'ज़ाज़ बहुत है लेकिन तेरी तमन्ना ने
मेरे लबों से काम लिया हो ये भी तो हो सकता है
आख़िर अपने क़दमों को क्यूँ हम मुल्ज़िम ठहराते हैं
राहों ने मुँह मोड़ लिया हो ये भी तो हो सकता है
मेरे तसव्वुर ने बख़्शी है तन्हाई को भी इक महफ़िल
तू महफ़िल महफ़िल तन्हा हो ये भी तो हो सकता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah
our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah
As you were reading Alone Shayari Shayari