kabhi zakham zakham nikhar ke dekh kabhi daagh daagh sanwar ke dekh | कभी ज़ख़्म ज़ख़्म निखर के देख कभी दाग़ दाग़ सँवर के देख - Akbar Ali Khan Arshi Zadah

kabhi zakham zakham nikhar ke dekh kabhi daagh daagh sanwar ke dekh
kabhi tu bhi toot meri tarah kabhi reza reza bikhar ke dekh

sar-e-khaar se sar-e-sang se jo hai mera jism lahu lahu
kabhi tu bhi to mere sang-e-meel kabhi rang mere safar ke dekh

isee khel se kabhi paayega tu gudaaz-e-qalb ki ne'ematein
kabhi rooth ja kabhi man ke dekh kabhi jeet ja kabhi har ke dekh

ye padi hain sadiyon se kis liye tire mere beech judaaiyaan
kabhi apne ghar tu mujhe bula kabhi raaste mere ghar ke dekh

tujhe aaine mein na mil sakega tiri adaaon ka baankpan
agar apna husn hai dekhna to meri ghazal mein utar ke dekh

wahi mera dard ravaan-davaan wahi tera husn jawaan jawaan
kabhi meer'-o-'dard ke bait padh kabhi she'r daagh'-o-'jigar ke dekh

कभी ज़ख़्म ज़ख़्म निखर के देख कभी दाग़ दाग़ सँवर के देख
कभी तू भी टूट मिरी तरह कभी रेज़ा रेज़ा बिखर के देख

सर-ए-ख़ार से सर-ए-संग से जो है मेरा जिस्म लहू लहू
कभी तू भी तो मिरे संग-ए-मील कभी रंग मेरे सफ़र के देख

इसी खेल से कभी पाएगा तू गुदाज़-ए-क़ल्ब की ने'मतें
कभी रूठ जा कभी मन के देख कभी जीत जा कभी हर के देख

ये पड़ी हैं सदियों से किस लिए तिरे मेरे बीच जुदाइयाँ
कभी अपने घर तू मुझे बुला कभी रास्ते मिरे घर के देख

तुझे आईने में न मिल सकेगा तिरी अदाओं का बाँकपन
अगर अपना हुस्न है देखना तो मिरी ग़ज़ल में उतर के देख

वही मेरा दर्द रवाँ-दवाँ वही तेरा हुस्न जवाँ जवाँ
कभी 'मीर'-ओ-'दर्द' के बैत पढ़ कभी शे'र 'दाग़'-ओ-'जिगर' के देख

- Akbar Ali Khan Arshi Zadah
0 Likes

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

As you were reading Shayari by Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Ali Khan Arshi Zadah

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari