kahaan vo ab lutf-e-baahmi hai mohabbaton mein bahut kami hai
chali hai kaisi hawa ilaahi ki har tabeeyat mein barhmi hai
meri wafa mein hai kya tazlajul meri itaa'at mein kya kami hai
ye kyun nigaahen firee hain mujh se mizaaj mein kyun ye barhmi hai
wahin hai fazl-e-khuda se ab tak tarkkki-e-kaar-e-husn o ulfat
na vo hain mashq-e-sitam mein qasir na khoon-e-dil ki yahan kami hai
ajeeb jalwe hain hosh dushman ki vaham ke bhi qadam ruke hain
ajeeb manzar hain hairat-afza nazar jahaan thi wahin thami hai
na koi takreem-e-baahmi hai na pyaar baaki hai ab dilon mein
ye sirf tahreer mein dear sar hai ya janaab-e-mukarrami hai
kahaan ke muslim kahaan ke hindu bhulaai hain sab ne agli rasmen
aqeede sab ke hain teen-terah na gyaarahveen hai na ashtami hai
nazar meri aur hi taraf hai hazaar rang-e-zamaana badle
hazaar baatein banaaye naaseh jamee hai dil mein jo kuchh jamee hai
agarche main rind-e-mohtaram hoon magar ise shaikh se na poocho
ki un ke aage to is zamaane mein saari duniya jahannami hai
कहाँ वो अब लुत्फ़-ए-बाहमी है मोहब्बतों में बहुत कमी है
चली है कैसी हवा इलाही कि हर तबीअत में बरहमी है
मिरी वफ़ा में है क्या तज़लज़ुल मिरी इताअ'त में क्या कमी है
ये क्यूँ निगाहें फिरी हैं मुझ से मिज़ाज में क्यूँ ये बरहमी है
वही है फ़ज़्ल-ए-ख़ुदा से अब तक तरक़्की-ए-कार-ए-हुस्न ओ उल्फ़त
न वो हैं मश्क़-ए-सितम में क़ासिर न ख़ून-ए-दिल की यहाँ कमी है
अजीब जल्वे हैं होश दुश्मन कि वहम के भी क़दम रुके हैं
अजीब मंज़र हैं हैरत-अफ़्ज़ा नज़र जहाँ थी वहीं थमी है
न कोई तकरीम-ए-बाहमी है न प्यार बाक़ी है अब दिलों में
ये सिर्फ़ तहरीर में डियर सर है या जनाब-ए-मुकर्रमी है
कहाँ के मुस्लिम कहाँ के हिन्दू भुलाई हैं सब ने अगली रस्में
अक़ीदे सब के हैं तीन-तेरह न ग्यारहवीं है न अष्टमी है
नज़र मिरी और ही तरफ़ है हज़ार रंग-ए-ज़माना बदले
हज़ार बातें बनाए नासेह जमी है दिल में जो कुछ जमी है
अगरचे मैं रिंद-ए-मोहतरम हूँ मगर इसे शैख़ से न पूछो
कि उन के आगे तो इस ज़माने में सारी दुनिया जहन्नमी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Aahat Shayari Shayari