aisa ek maqaam ho jis mein dil jaisi veeraani ho | ऐसा एक मक़ाम हो जिस में दिल जैसी वीरानी हो - Akbar Masoom

aisa ek maqaam ho jis mein dil jaisi veeraani ho
yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra paani ho

ek sitaara raushan ho jo kabhi na bujhne waala ho
rasta jaana-pahchaana ho raat bahut an-jaani ho

vo ik pal jo beet gaya us mein hi rahein to achha hai
kya maaloom jo pal aaye vo faani ho laafaani ho

manzar dekhne waala ho par koi na dekhne waala ho
koi na dekhne waala ho aur door talak hairaani ho

ek ajeeb samaan ho jaise sher muneer-niyaazi ka
ek taraf aabaadi ho aur ek taraf veeraani ho

ऐसा एक मक़ाम हो जिस में दिल जैसी वीरानी हो
यादों जैसी तेज़ हवा हो दर्द से गहरा पानी हो

एक सितारा रौशन हो जो कभी न बुझने वाला हो
रस्ता जाना-पहचाना हो रात बहुत अन-जानी हो

वो इक पल जो बीत गया उस में ही रहें तो अच्छा है
क्या मालूम जो पल आए वो फ़ानी हो लाफ़ानी हो

मंज़र देखने वाला हो पर कोई न देखने वाला हो
कोई न देखने वाला हो और दूर तलक हैरानी हो

एक अजीब समाँ हो जैसे शेर 'मुनीर'-नियाज़ी का
एक तरफ़ आबादी हो और एक तरफ़ वीरानी हो

- Akbar Masoom
0 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari