aao be-parda tumhein jalwa-e-pinhan ki qasam
ham na chhedenge hamein zulf-e-pareshaan ki qasam
chaak-e-daamaan ki qasam chaak-e-garebaan ki qasam
hansne waale tujhe is haal-e-pareshaan ki qasam
mere armaan se waqif nahin sharmaayenge aap
aap kyun khaate hain naahak mere armaan ki qasam
neend aaye na kabhi tujh se bichhad kar zalim
apni aankhon ki qasam tere shabistaan ki qasam
lab-e-jaanaan pe fida aariz-e-jaanaan ke nisaar
shaam-e-rangeen ki qasam subh-e-darkhshaan ki qasam
aaj tak subh-e-watan yaad hai ham ko akhtar
dard-e-hijraan ki qasam shaam-e-ghareebaan ki qasam
आओ बे-पर्दा तुम्हें जल्वा-ए-पिन्हाँ की क़सम
हम न छेड़ेंगे हमें ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ की क़सम
चाक-ए-दामाँ की क़सम चाक-ए-गरेबाँ की क़सम
हँसने वाले तुझे इस हाल-ए-परेशाँ की क़सम
मेरे अरमान से वाक़िफ़ नहीं शरमाएँगे आप
आप क्यूँ खाते हैं नाहक़ मिरे अरमाँ की क़सम
नींद आए न कभी तुझ से बिछड़ कर ज़ालिम
अपनी आँखों की क़सम तेरे शबिस्ताँ की क़सम
लब-ए-जानाँ पे फ़िदा आरिज़-ए-जानाँ के निसार
शाम-ए-रंगीं की क़सम सुब्ह-ए-दरख़्शाँ की क़सम
आज तक सुब्ह-ए-वतन याद है हम को 'अख़्तर'
दर्द-ए-हिज्राँ की क़सम शाम-ए-ग़रीबाँ की क़सम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shirani
our suggestion based on Akhtar Shirani
As you were reading Khwab Shayari Shayari