gham-khaana-e-hasti mein hai mehmaan koi din aur | ग़म-ख़ाना-ए-हस्ती में है मेहमाँ कोई दिन और

  - Akhtar Shirani

gham-khaana-e-hasti mein hai mehmaan koi din aur
kar le hamein taqdeer pareshaan koi din aur

mar jaayenge jab ham to bahut yaad karegi
jee bhar ke sata le shab-e-hijraan koi din aur

turbat vo jagah hai ki jahaan gham hai na hairat
hairat-kada-e-gham mein hain hairaan koi din aur

yaaron se gila hai na azeezon se shikaayat
taqdeer mein hai hasrat-o-hirmaan koi din aur

paamaal-e-khizaan hone ko hain mast bahaarein
hai sair-e-gul-o-husn-e-gulistaan koi din aur

ham sa na milega koi gham-dost jahaan mein
tadpa le gham-e-gardish-e-dauraan koi din aur

qabron ki jo raatein hain vo qabron mein kattengi
aabaad hain ye zinda shabistaan koi din aur

rangeeni-o-nuzhat pe na maghroor ho bulbul
hai rang bahaar-e-chamanistaan koi din aur

aakhir ko wahi ham wahi zulmaat-e-shab-e-gham
hai noor-e-rukh-e-maah-e-darkhshaan koi din aur

azaad hon aalam se to azaad hoon gham se
duniya hai hamaare liye zindaan koi din aur

hasti kabhi qudrat ka ik ehsaan thi ham par
ab ham pe hai qudrat ka ye ehsaan koi din aur

la'nat thi gunaahon ki nadaamat mere haq mein
hai shukr ki us se hain pashemaan koi din aur

shevan ko koi khuld-e-bareen mein ye khabar de
duniya mein ab akhtar bhi hai mehmaan koi din aur

ग़म-ख़ाना-ए-हस्ती में है मेहमाँ कोई दिन और
कर ले हमें तक़दीर परेशाँ कोई दिन और

मर जाएँगे जब हम तो बहुत याद करेगी
जी भर के सता ले शब-ए-हिज्राँ कोई दिन और

तुर्बत वो जगह है कि जहाँ ग़म है न हैरत
हैरत-कदा-ए-ग़म में हैं हैराँ कोई दिन और

यारों से गिला है न अज़ीज़ों से शिकायत
तक़दीर में है हसरत-ओ-हिर्मां कोई दिन और

पामाल-ए-ख़िज़ाँ होने को हैं मस्त बहारें
है सैर-ए-गुल-ओ-हुस्न-ए-गुलिस्ताँ कोई दिन और

हम सा न मिलेगा कोई ग़म-दोस्त जहाँ में
तड़पा ले ग़म-ए-गर्दिश-ए-दौराँ कोई दिन और

क़ब्रों की जो रातें हैं वो क़ब्रों में कटेंगी
आबाद हैं ये ज़िंदा शबिस्ताँ कोई दिन और

रंगीनी-ओ-नुज़हत पे न मग़रूर हो बुलबुल
है रंग बहार-ए-चमनिस्ताँ कोई दिन और

आख़िर को वही हम वही ज़ुल्मात-ए-शब-ए-ग़म
है नूर-ए-रुख़-ए-माह-ए-दरख़्शाँ कोई दिन और

आज़ाद हों आलम से तो आज़ाद हूँ ग़म से
दुनिया है हमारे लिए ज़िंदाँ कोई दिन और

हस्ती कभी क़ुदरत का इक एहसान थी हम पर
अब हम पे है क़ुदरत का ये एहसाँ कोई दिन और

ला'नत थी गुनाहों की नदामत मिरे हक़ में
है शुक्र कि उस से हैं पशेमाँ कोई दिन और

शेवन को कोई ख़ुल्द-ए-बरीं में ये ख़बर दे
दुनिया में अब 'अख़्तर' भी है मेहमाँ कोई दिन और

  - Akhtar Shirani

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari