kis ki aankhon ka liye dil pe asar jaate hain | किस की आँखों का लिए दिल पे असर जाते हैं

  - Akhtar Shirani

kis ki aankhon ka liye dil pe asar jaate hain
may-kade haath badhaate hain jidhar jaate hain

dil mein armaan-e-visaal aankh mein toofaan-e-jamaal
hosh baaki nahin jaane ka magar jaate hain

bhoolti hi nahin dil ko tiri mastaana nigaah
saath jaata hai ye may-khaana jidhar jaate hain

paasbaanaan-e-haya kya hue ai daulat-e-husn
ham chura kar tiri duz-deeda nazar jaate hain

pursish-e-dil to kuja ye bhi na poocha us ne
ham musaafir kidhar aaye the kidhar jaate hain

chashm-e-haira'n mein samaaye hain ye kis ke jalwe
toor har gaam pe raksaan hain jidhar jaate hain

jis tarah bhule musaafir koi saamaan apna
ham yahan bhool ke dil aur nazar jaate hain

kitne bedard hain is shehar ke rahne waale
raah mein cheen ke dil kahte hain ghar jaate hain

agle waqton mein luta karte the rah-rau akshar
ham to is ahad mein bhi loot ke magar jaate hain

faizaabaad se pahuncha hamein ye faiz akhtar
ki jigar par liye ham daag-e-jigar jaate hain

किस की आँखों का लिए दिल पे असर जाते हैं
मय-कदे हाथ बढ़ाते हैं जिधर जाते हैं

दिल में अरमान-ए-विसाल आँख में तूफ़ान-ए-जमाल
होश बाक़ी नहीं जाने का मगर जाते हैं

भूलती ही नहीं दिल को तिरी मस्ताना निगाह
साथ जाता है ये मय-ख़ाना जिधर जाते हैं

पासबानान-ए-हया क्या हुए ऐ दौलत-ए-हुस्न
हम चुरा कर तिरी दुज़-दीदा नज़र जाते हैं

पुर्सिश-ए-दिल तो कुजा ये भी न पूछा उस ने
हम मुसाफ़िर किधर आए थे किधर जाते हैं

चश्म-ए-हैराँ में समाए हैं ये किस के जल्वे
तूर हर गाम पे रक़्साँ हैं जिधर जाते हैं

जिस तरह भूले मुसाफ़िर कोई सामाँ अपना
हम यहाँ भूल के दिल और नज़र जाते हैं

कितने बेदर्द हैं इस शहर के रहने वाले
राह में छीन के दिल कहते हैं घर जाते हैं

अगले वक़्तों में लुटा करते थे रह-रौ अक्सर
हम तो इस अहद में भी लुट के मगर जाते हैं

फ़ैज़ाबाद से पहुँचा हमें ये फ़ैज़ 'अख़्तर'
कि जिगर पर लिए हम दाग़-ए-जिगर जाते हैं

  - Akhtar Shirani

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari