pade the ham bhi jahaan raushni mein bikhre hue | पड़े थे हम भी जहाँ रौशनी में बिखरे हुए

  - Akhtar Shumar

pade the ham bhi jahaan raushni mein bikhre hue
kai sitaare mile us gali mein bikhre hue

meri kahaani se pehle hi jaan le pyaare
ki haadse hain meri zindagi mein bikhre hue

dhanak si aankh kahe baansuri ki lai mein mujhe
sitaare dhundh ke la nagmgi mein bikhre hue

main pur-sukoon rahoon jheel ki tarah yaani
kisi khayal kisi khaamoshi mein bikhre hue

vo muskuraa ke koi baat kar raha tha shumaar
aur us ke lafz bhi the chaandni mein bikhre hue

पड़े थे हम भी जहाँ रौशनी में बिखरे हुए
कई सितारे मिले उस गली में बिखरे हुए

मिरी कहानी से पहले ही जान ले प्यारे
कि हादसे हैं मिरी ज़िंदगी में बिखरे हुए

धनक सी आँख कहे बाँसुरी की लै में मुझे
सितारे ढूँड के ला नग़्मगी में बिखरे हुए

मैं पुर-सुकून रहूँ झील की तरह यानी
किसी ख़याल किसी ख़ामुशी में बिखरे हुए

वो मुस्कुरा के कोई बात कर रहा था 'शुमार'
और उस के लफ़्ज़ भी थे चाँदनी में बिखरे हुए

  - Akhtar Shumar

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shumar

As you were reading Shayari by Akhtar Shumar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shumar

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari