sitaara le gaya hai mera aasmaan se kaun
utar raha hai shumaar aaj mere dhyaan se kaun
abhi safar mein koi mod hi nahin aaya
nikal gaya hai ye chup-chaap daastaan se kaun
lahu mein aag laga kar ye kaun hansta hai
ye intiqaam sa leta hai rooh o jaan se kaun
ye daar choom ke muskaa raha hai kaun udhar
guzar raha hai tumhaare ye imtihaan se kaun
zameen chhodna filhaal mere bas mein nahin
dikhaai dene laga phir ye aasmaan se kaun
सितारा ले गया है मेरा आसमान से कौन
उतर रहा है 'शुमार' आज मेरे ध्यान से कौन
अभी सफ़र में कोई मोड़ ही नहीं आया
निकल गया है ये चुप-चाप दास्तान से कौन
लहू में आग लगा कर ये कौन हँसता है
ये इंतिक़ाम सा लेता है रूह ओ जान से कौन
ये दार चूम के मुस्का रहा है कौन उधर
गुज़र रहा है तुम्हारे ये इम्तिहान से कौन
ज़मीन छोड़ना फ़िलहाल मेरे बस में नहीं
दिखाई देने लगा फिर ये आसमान से कौन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shumar
our suggestion based on Akhtar Shumar
As you were reading Yaad Shayari Shayari