us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin
mutmain aisa hai vo jaise hua kuchh bhi nahin
ab to haathon se lakeeren bhi mitti jaati hain
us ko kho kar to mere paas raha kuchh bhi nahin
chaar din rah gaye mele mein magar ab ke bhi
us ne aane ke liye khat mein likha kuchh bhi nahin
kal bichadna hai to phir ahad-e-wafaa soch ke baandh
abhi aaghaaz-e-mohabbat hai gaya kuchh bhi nahin
main to is vaaste chup hoon ki tamasha na bane
tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin
ai shumaar aankhen isee tarah bichhaaye rakhna
jaane kis waqt vo aa jaaye pata kuchh bhi nahin
उस के नज़दीक ग़म-ए-तर्क-ए-वफ़ा कुछ भी नहीं
मुतमइन ऐसा है वो जैसे हुआ कुछ भी नहीं
अब तो हाथों से लकीरें भी मिटी जाती हैं
उस को खो कर तो मिरे पास रहा कुछ भी नहीं
चार दिन रह गए मेले में मगर अब के भी
उस ने आने के लिए ख़त में लिखा कुछ भी नहीं
कल बिछड़ना है तो फिर अहद-ए-वफ़ा सोच के बाँध
अभी आग़ाज़-ए-मोहब्बत है गया कुछ भी नहीं
मैं तो इस वास्ते चुप हूँ कि तमाशा न बने
तू समझता है मुझे तुझ से गिला कुछ भी नहीं
ऐ 'शुमार' आँखें इसी तरह बिछाए रखना
जाने किस वक़्त वो आ जाए पता कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shumar
our suggestion based on Akhtar Shumar
As you were reading Chehra Shayari Shayari