hargiz kisi bhi taur kisi ke na ho sake
ham us ke baad aur kisi ke na ho sake
aaya tha aisa daur sabhi ke hue the ham
phir aaya aisa daur kisi ke na ho sake
afsos tum ko itni bhi furqat nahin mili
tum mujh pe karte ghaur kisi ke na ho sake
ya'ni ham umr bhar rahe barbaad khud mein hi
ya'ni thikaana-thor kisi ke na ho sake
jo log sab ka khaas bane phir rahe the aks
vo log khaas taur kisi ke na ho sake
हरगिज़ किसी भी तौर किसी के न हो सके
हम उस के बाद और किसी के न हो सके
आया था ऐसा दौर सभी के हुए थे हम
फिर आया ऐसा दौर किसी के न हो सके
अफ़्सोस तुम को इतनी भी फ़ुर्सत नहीं मिली
तुम मुझ पे करते ग़ौर किसी के न हो सके
या'नी हम उम्र भर रहे बर्बाद ख़ुद में ही
या'नी ठिकाना-ठोर किसी के न हो सके
जो लोग सब का ख़ास बने फिर रहे थे 'अक्स'
वो लोग ख़ास तौर किसी के न हो सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aks samastipuri
our suggestion based on Aks samastipuri
As you were reading Aah Shayari Shayari