ik junoon kahiye use jo mere sar se nikla
warna matlab na koi arz-e-hunar se nikla
koi manzil na mili paanv jo ghar se nikla
phir safar pesh tha jab gard-e-safar se nikla
bach ke har-chand zamaane ki nazar se nikla
saamne koo-e-malaamat tha jidhar se nikla
main bahut door kahi chhod chuka tha us ko
qaafila phir meri hasrat ka kidhar se nikla
uth ke us bazm se aa jaana kuchh aasaan na tha
ek deewaar se nikla hoon jo dar se nikla
may-kada dekha to yaad-e-gham-e-yaaraan aayi
jaam chhalaka to lahu zakham-e-jigar se nikla
bheed ke khauf se phir ghar ki taraf laut aaya
ghar se jab shehar mein tanhaai ke dar se nikla
pad gaya waqt to sadiyon ke bharam toot gaye
kaam kuchh shaam se nikla na sehar se nikla
इक जुनूँ कहिए उसे जो मिरे सर से निकला
वर्ना मतलब न कोई अर्ज़-ए-हुनर से निकला
कोई मंज़िल न मिली पाँव जो घर से निकला
फिर सफ़र पेश था जब गर्द-ए-सफ़र से निकला
बच के हर-चंद ज़माने की नज़र से निकला
सामने कू-ए-मलामत था जिधर से निकला
मैं बहुत दूर कहीं छोड़ चुका था उस को
क़ाफ़िला फिर मिरी हसरत का किधर से निकला
उठ के उस बज़्म से आ जाना कुछ आसान न था
एक दीवार से निकला हूँ जो दर से निकला
मय-कदा देखा तो याद-ए-ग़म-ए-याराँ आई
जाम छलका तो लहू ज़ख़्म-ए-जिगर से निकला
भीड़ के ख़ौफ़ से फिर घर की तरफ़ लौट आया
घर से जब शहर में तन्हाई के डर से निकला
पड़ गया वक़्त तो सदियों के भरम टूट गए
काम कुछ शाम से निकला न सहर से निकला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleem Masroor
our suggestion based on Aleem Masroor
As you were reading Nigaah Shayari Shayari