chale bazm-e-dauraan se jab zahar pee ke
badhe hausale aur bhi zindagi ke
fasaanon se meri hi aawaargi ke
muayyan hue raaste zindagi ke
zamaane ko doon kya ki daaman mein mere
faqat chand aansu hain vo bhi kisi ke
nigah-e-karam ki zaroorat nahin hai
zara dekh luun be-sahaare bhi jee ke
hain masroor aankhen tumhaari jo pur-nam
batao ye aansu hain gham ya khushi ke
चले बज़्म-ए-दौराँ से जब ज़हर पी के
बढ़े हौसले और भी ज़िंदगी के
फ़सानों से मेरी ही आवारगी के
मुअय्यन हुए रास्ते ज़िंदगी के
ज़माने को दूँ क्या कि दामन में मेरे
फ़क़त चंद आँसू हैं वो भी किसी के
निगाह-ए-करम की ज़रूरत नहीं है
ज़रा देख लूँ बे-सहारे भी जी के
हैं 'मसरूर' आँखें तुम्हारी जो पुर-नम
बताओ ये आँसू हैं ग़म या ख़ुशी के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleem Masroor
our suggestion based on Aleem Masroor
As you were reading Sad Shayari Shayari