aankhon mein ashk bhar ke mujh se nazar mila ke | आँखों में अश्क भर के मुझ से नज़र मिला के

  - Ali Jawwad Zaidi

aankhon mein ashk bhar ke mujh se nazar mila ke
neechi nigaah utthi fitne naye jaga ke

main raag chhedta hoon eemaa-e-husn pa ke
dekho to meri jaanib ik baar muskuraa ke

duniya-e-maslakat ke ye band kya themenge
badh jaayega zamaana toofaan naye utha ke

jab chhedti hain un ko gumnaam aarzuen
vo mujh ko dekhte hain meri nazar bacha ke

deedaar ki tamannaa kal raat rakh rahi thi
khwaabon ki rah-guzar mein shamaein jala jala ke

doori ne laakh jalwe takhleeq kar liye the
phir door ho gaye ham tere qareeb aa ke

shaam-e-firaq aisa mehsoos ho raha hai
har ek shay ganwa di har ek shay ko pa ke

aayi hai yaad jin ki toofan-e-dard ban ke
vo zakham main ne akshar khaaye hain muskuraa ke

meri nigaah-e-gham mein shikwe hi sab nahin hain
ik baar idhar to dekho neechi nazar utha ke

ye dushmani hai saaqi ya dosti hai saaqi
auron ko jaam dena mujh ko dikha dikha ke

dil ke qareeb shaayad toofaan uth rahe hon
dekho to sher zaidi ik roz gunguna ke

आँखों में अश्क भर के मुझ से नज़र मिला के
नीची निगाह उट्ठी फ़ित्ने नए जगा के

मैं राग छेड़ता हूँ ईमा-ए-हुस्न पा के
देखो तो मेरी जानिब इक बार मुस्कुरा के

दुनिया-ए-मस्लहत के ये बंद क्या थमेंगे
बढ़ जाएगा ज़माना तूफ़ाँ नए उठा के

जब छेड़ती हैं उन को गुमनाम आरज़ुएँ
वो मुझ को देखते हैं मेरी नज़र बचा के

दीदार की तमन्ना कल रात रख रही थी
ख़्वाबों की रह-गुज़र में शमएँ जला जला के

दूरी ने लाख जल्वे तख़्लीक़ कर लिए थे
फिर दूर हो गए हम तेरे क़रीब आ के

शाम-ए-फ़िराक़ ऐसा महसूस हो रहा है
हर एक शय गँवा दी हर एक शय को पा के

आई है याद जिन की तूफ़ान-ए-दर्द बन के
वो ज़ख़्म मैं ने अक्सर खाए हैं मुस्कुरा के

मेरी निगाह-ए-ग़म में शिकवे ही सब नहीं हैं
इक बार इधर तो देखो नीची नज़र उठा के

ये दुश्मनी है साक़ी या दोस्ती है साक़ी
औरों को जाम देना मुझ को दिखा दिखा के

दिल के क़रीब शायद तूफ़ान उठ रहे हों
देखो तो शेर 'ज़ैदी' इक रोज़ गुनगुना के

  - Ali Jawwad Zaidi

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari