ahl-e-zaahir ko fann-e-jalwa-gari ne maara | अहल-ए-ज़ाहिर को फ़न्न-ए-जल्वा-गरी ने मारा - Ali Jawwad Zaidi

ahl-e-zaahir ko fann-e-jalwa-gari ne maara
ahl-e-baatin ko tawana-nazri ne maara

talkh thi maut magar zeest se sheerin-tar thi
us se poocho jise be-baal-o-paree ne maara

mundamil hote hue zakham hare hone lage
saaye saaye mein tiri ham-safari ne maara

dasht-e-ghurbat ke shab-o-roz ki lazzat na mili
sar watan mein bhi bahut dar-b-dari ne maara

ishq aur dast-e-talab aisi bhi kya majboori
shauq ko kaavish-e-daryooza-gari ne maara

zakhm-e-paareena bhara hi tha ki ai sozan-e-haal
aur ik teer tiri bakhiya-gari ne maara

daad-o-shamsheer ne jab jab bhi daraana chaaha
qahqaha shauq ki shorida-sari ne maara

sulh karna to zamaane se hai aasaan lekin
mujh ko zaidi meri baaligh-nazri ne maara

अहल-ए-ज़ाहिर को फ़न्न-ए-जल्वा-गरी ने मारा
अहल-ए-बातिन को तवाना-नज़री ने मारा

तल्ख़ थी मौत मगर ज़ीस्त से शीरीं-तर थी
उस से पूछो जिसे बे-बाल-ओ-परी ने मारा

मुंदमिल होते हुए ज़ख़्म हरे होने लगे
साए साए में तिरी हम-सफ़री ने मारा

दश्त-ए-ग़ुर्बत के शब-ओ-रोज़ की लज़्ज़त न मिली
सर वतन में भी बहुत दर-ब-दरी ने मारा

इश्क़ और दस्त-ए-तलब ऐसी भी क्या मजबूरी
शौक़ को काविश-ए-दरयूज़ा-गरी ने मारा

ज़ख़्म-ए-पारीना भरा ही था कि ऐ सोज़न-ए-हाल
और इक तीर तिरी बख़िया-गरी ने मारा

दाद-ओ-शमशीर ने जब जब भी डराना चाहा
क़हक़हा शौक़ की शोरीदा-सरी ने मारा

सुल्ह करना तो ज़माने से है आसाँ लेकिन
मुझ को 'ज़ैदी' मिरी बालिग़-नज़री ने मारा

- Ali Jawwad Zaidi
0 Likes

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari