nazarandaaz ho jaane ka zahar apni nason mein bhar raha hai kaun jaane
bahot sar-sabz ghazalon nazmon waala apne andar mar raha hai kaun jaane
akela shakhs ko apne kareebi mausamon mein kis tarah ke zakhm aaye
vo aakhir kislie maan-baap ki kabron pe jaate dar raha hai kaun jaane
ye jiske fez se apne paraaye jholiyaan bharte hue thakte nahin hai
ye chashma tere aane se bahot pehle talak patthar raha hai kaun jaane
jo pichhle tees barso se mohabbat shayari aur yaad se roothe hue the
tera shayar vo hi bacche vo hi boodhe ikatthe kar raha hai kaun jaane
नजरअंदाज हो जाने का ज़हर अपनी नसों में भर रहा है कौन जाने
बहोत सर-सब्ज़ ग़ज़लों नज़्मों वाला अपने अंदर मर रहा है कौन जाने
अकेले शख़्स को अपने करीबी मौसमों में किस तरह के ज़ख्म आए
वो आख़िर किसलिए मां-बाप की कब्रों पे जाते डर रहा है कौन जाने
ये जिसके फे़ज़ से अपने पराएं झोलियां भरते हुए थकते नहीं है
ये चश्मा तेरे आने से बहोत पहले तलक पत्थर रहा है कौन जाने
जो पिछले तीस बरसो से मोहब्बत, शायरी और याद से रूठे हुए थे
तेरा शायर वो ही बच्चे वो ही बूढ़े इकट्ठे कर रहा है कौन जाने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Zaryoun
our suggestion based on Ali Zaryoun
As you were reading Alone Shayari Shayari