aflaak se aata hai naalon ka jawaab aakhir
karte hain khitaab aakhir uthte hain hijaab aakhir
ahwaal-e-mohabbat mein kuchh farq nahin aisa
soz o tab-o-taab awwal soz o tab-o-taab aakhir
main tujh ko bataata hoon taqdeer-e-umam kya hai
shamsher-o-sinaan awwal taaus-o-rubaab aakhir
may-khaana-e-yurope ke dastoor niraale hain
laate hain suroor awwal dete hain sharaab aakhir
kya dabdaba-e-naadir kya shaoukat-e-taimoori
ho jaate hain sab daftar gharq-e-may-e-naab aakhir
khilwat ki ghadi guzri jalvat ki ghadi aayi
chhutne ko hai bijli se aaghosh-e-sahaab aakhir
tha zabt bahut mushkil is sail-e-ma'ani ka
kah dale qalander ne asraar-e-kitaab aakhir
अफ़्लाक से आता है नालों का जवाब आख़िर
करते हैं ख़िताब आख़िर उठते हैं हिजाब आख़िर
अहवाल-ए-मोहब्बत में कुछ फ़र्क़ नहीं ऐसा
सोज़ ओ तब-ओ-ताब अव्वल सोज़ ओ तब-ओ-ताब आख़िर
मैं तुझ को बताता हूँ तक़दीर-ए-उमम क्या है
शमशीर-ओ-सिनाँ अव्वल ताऊस-ओ-रुबाब आख़िर
मय-ख़ाना-ए-यूरोप के दस्तूर निराले हैं
लाते हैं सुरूर अव्वल देते हैं शराब आख़िर
क्या दबदबा-ए-नादिर क्या शौकत-ए-तैमूरी
हो जाते हैं सब दफ़्तर ग़र्क़-ए-मय-ए-नाब आख़िर
ख़ल्वत की घड़ी गुज़री जल्वत की घड़ी आई
छुटने को है बिजली से आग़ोश-ए-सहाब आख़िर
था ज़ब्त बहुत मुश्किल इस सैल-ए-मआ'नी का
कह डाले क़लंदर ने असरार-ए-किताब आख़िर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Sharaab Shayari Shayari