khudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibreel
agar ho ishq se mohkam to soor-e-israfeel
azaab-e-danish-e-haazir se ba-khabar hoon main
ki main is aag mein daala gaya hoon misl-e-khaleel
fareb-khurda-e-manzil hai kaarwaan warna
ziyaada rahat-e-manzil se hai nashaat-e-raheel
nazar nahin to mere halka-e-sukhan mein na baith
ki nukta-ha-e-khudi hain misaal-e-tegh-e-aseel
mujhe vo dars-e-farang aaj yaad aate hain
kahaan huzoor ki lazzat kahaan hijaab-e-daleel
andheri shab hai juda apne qafile se hai tu
tire liye hai mera shola-e-nava qindeel
gareeb o saada o rangeen hai dastaan-e-haram
nihaayat is ki husain ibtida hai ismaail
ख़ुदी हो इल्म से मोहकम तो ग़ैरत-ए-जिब्रील
अगर हो इश्क़ से मोहकम तो सूर-ए-इस्राफ़ील
अज़ाब-ए-दानिश-ए-हाज़िर से बा-ख़बर हूँ मैं
कि मैं इस आग में डाला गया हूँ मिस्ल-ए-ख़लील
फ़रेब-ख़ुर्दा-ए-मंज़िल है कारवाँ वर्ना
ज़ियादा राहत-ए-मंज़िल से है नशात-ए-रहील
नज़र नहीं तो मिरे हल्क़ा-ए-सुख़न में न बैठ
कि नुक्ता-हा-ए-ख़ुदी हैं मिसाल-ए-तेग़-ए-असील
मुझे वो दर्स-ए-फ़रंग आज याद आते हैं
कहाँ हुज़ूर की लज़्ज़त कहाँ हिजाब-ए-दलील
अँधेरी शब है जुदा अपने क़ाफ़िले से है तू
तिरे लिए है मिरा शोला-ए-नवा क़िंदील
ग़रीब ओ सादा ओ रंगीं है दस्तान-ए-हरम
निहायत इस की हुसैन इब्तिदा है इस्माईल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Poverty Shayari Shayari