phir charaagh-e-laala se raushan hue koh o daman | फिर चराग़-ए-लाला से रौशन हुए कोह ओ दमन - Allama Iqbal

phir charaagh-e-laala se raushan hue koh o daman
mujh ko phir nagmon pe ukasaane laga murgh-e-chaman

phool hain sehra mein ya pariyaan qataar andar qataar
ude ude neele neele peele peele pairhan

burg-e-gul par rakh gai shabnam ka moti baad-e-subh
aur chamkaati hai us moti ko suraj ki kiran

husn-e-be-parwa ko apni be-naqaabi ke liye
hon agar shehron se ban pyaare to shehar achhe ki ban

apne man mein doob kar pa ja suraagh-e-zindagi
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban

man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq
tan ki duniya tan ki duniya sood o sauda makr o fan

man ki daulat haath aati hai to phir jaati nahin
tan ki daulat chaanv hai aata hai dhan jaata hai dhan

man ki duniya mein na paaya main ne afrangi ka raaj
man ki duniya mein na dekhe main ne shaikh o brahman

paani paani kar gai mujko qalander ki ye baat
tu jhuka jab gair ke aage na man tera na tan

फिर चराग़-ए-लाला से रौशन हुए कोह ओ दमन
मुझ को फिर नग़्मों पे उकसाने लगा मुर्ग़-ए-चमन

फूल हैं सहरा में या परियाँ क़तार अंदर क़तार
ऊदे ऊदे नीले नीले पीले पीले पैरहन

बर्ग-ए-गुल पर रख गई शबनम का मोती बाद-ए-सुब्ह
और चमकाती है उस मोती को सूरज की किरन

हुस्न-ए-बे-परवा को अपनी बे-नक़ाबी के लिए
हों अगर शहरों से बन प्यारे तो शहर अच्छे कि बन

अपने मन में डूब कर पा जा सुराग़-ए-ज़ि़ंदगी
तू अगर मेरा नहीं बनता न बन अपना तो बन

मन की दुनिया मन की दुनिया सोज़ ओ मस्ती जज़्ब ओ शौक़
तन की दुनिया तन की दुनिया सूद ओ सौदा मक्र ओ फ़न

मन की दौलत हाथ आती है तो फिर जाती नहीं
तन की दौलत छाँव है आता है धन जाता है धन

मन की दुनिया में न पाया मैं ने अफ़रंगी का राज
मन की दुनिया में न देखे मैं ने शैख़ ओ बरहमन

पानी पानी कर गई मुजको क़लंदर की ये बात
तू झुका जब ग़ैर के आगे न मन तेरा न तन

- Allama Iqbal
0 Likes

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari