saaghar-e-sarshaar ki baatein karein
aao chashm-e-yaar ki baatein karein
kya khabar kab aasmaan kar de juda
ho sake to pyaar ki baatein karein
de ijaazat aablaa-paai agar
waadi-e-pur-khaar ki baatein karein
jee raha hai koi jis iqaar par
us haseen inkaar ki baatein karein
zakhm-e-dil altaaf murjhaane lage
abroo-e-khandaar ki baatein karein
साग़र-ए-सरशार की बातें करें
आओ चश्म-ए-यार की बातें करें
क्या ख़बर कब आसमाँ कर दे जुदा
हो सके तो प्यार की बातें करें
दे इजाज़त आबला-पाई अगर
वादी-ए-पुर-ख़ार की बातें करें
जी रहा है कोई जिस इक़रार पर
उस हसीं इंकार की बातें करें
ज़ख़्म-ए-दिल 'अलताफ़' मुरझाने लगे
अबरू-ए-ख़मदार की बातें करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi
our suggestion based on Altaf Mashhadi
As you were reading Aasman Shayari Shayari