zindagi kab mujhe is darja giran thi pehle | ज़िंदगी कब मुझे इस दर्जा गिराँ थी पहले

  - Altaf Iqbal

zindagi kab mujhe is darja giran thi pehle
aap the saath to har shaam jawaan thi pehle

hai teri shokh nigaahon ka taqaza varna
hasrat-e-deed bhi is dil mein kahaan thi pehle

tu tira gham tira yaadein tiri baatein tauba
daaman-e-dil mein ye daulat bhi kahaan thi pehle

husn ko chaahne ik khaas ada mukhtas hai
yun to kehne ko zulekha bhi jawaan thi pehle

itr mein bheegi hui zulf jo jhatki us ne
jal uthi aag vo dil mein jo nihaan thi pehle

ham utar aaye hain maidaan-e-sukhan mein varna
shayari aam zamaane mein kahaan thi pehle

ab na ham hai na ye maikhana hai kaayam saaqi
ham jawaan the to har ik cheez jawaan thi pehle

us sitamgar ne bhara aankh mein paani meri
varna aankhon mein ye barsaat kahaan thi pehle

hazrat-e-soz qa altaaf karam hai varna
itni mazboot ghazal teri kahaan thi pehle

ज़िंदगी कब मुझे इस दर्जा गिराँ थी पहले
आप थे साथ तो हर शाम जवाँ थी पहले

है तेरी शोख़ निगाहों का तक़ाज़ा वरना
हसरत-ए-दीद भी इस दिल में कहाँ थी पहले

तू, तिरा ग़म, तिरा यादें, तिरी बातें, तौबा!
दामन-ए-दिल में ये दौलत भी कहाँ थी पहले

हुस्न को चाहने इक ख़ास अदा मुख़्तस है
यूँ तो कहने को ज़ुलेख़ा भी जवाँ थी पहले

इत्र में भीगी हुई ज़ुल्फ़ जो झटकी उस ने
जल उठी आग वो दिल में जो निहाँ थी पहले

हम उतर आये हैं मैदान-ए-सुख़न में वरना
शायरी आम, ज़माने में कहाँ थी पहले

अब न हम है न ये मैखाना है कायम साक़ी
हम जवाँ थे तो हर इक चीज़ जवाँ थी पहले

उस सितमगर ने भरा आँख में पानी मेरी
वरना आँखों में ये बरसात कहाँ थी पहले

हज़रत-ए-सोज़ क़ा अल्ताफ़ करम है वरना
इतनी मज़बूत ग़ज़ल तेरी कहाँ थी पहले

  - Altaf Iqbal

Aam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Iqbal

As you were reading Shayari by Altaf Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Iqbal

Similar Moods

As you were reading Aam Shayari Shayari