har farz nibhaana hai kabhi ye nahin socha
chaalaak zamaana hai kabhi ye nahin socha
bacchon ki to bas fees hi bharkar hue khush ham
inko to padhaana hai kabhi ye nahin socha
kya saada dili hai ke sataaya mujhe jisne
ab us ko sataana hai kabhi ye na heen socha
daulat ko kamaane mein yahan umr gawaan di
ik roz to jaana hai kabhi ye nahin socha
duniya mein hamein jo bhi mila usse wafa ki
har shakhs sayaana hai kabhi ye nahin socha
sun kar hue sab khush yahan duniya ki kahaani
do din ka fasaana hai kabhi ye nahin socha
daulat nahin ye soch ke ladki ko kiya tark
achha vo gharaana hai kabhi ye nahin socha
altaaf rahe mast faqeeri mein hamesha
thokar mein zamaana hai kabhi ye nahin socha
हर फ़र्ज़ निभाना है, कभी, ये नहीं सोचा
चालाक ज़माना है, कभी, ये नहीं सोचा
बच्चों की तो बस फ़ीस ही भरकर हुए ख़ुश हम
इनको तो पढ़ाना है कभी, ये नहीं सोचा
क्या सादा दिली है, के सताया मुझे जिसने
अब उस को सताना है, कभी, ये न हीं सोचा
दौलत को कमाने में यहाँ उम्र गवाँ दी
इक रोज़ तो जाना है, कभी, ये नहीं सोचा
दुनिया में हमें जो भी मिला, उस्से वफ़ा की
हर शख़्स सयाना है, कभी, ये नहीं सोचा
सुन कर हुए सब ख़ुश, यहाँ दुनिया की कहानी
दो दिन का फ़साना है, कभी, ये नहीं सोचा
दौलत नहीं ये सोच के लड़की को किया तर्क
अच्छा वो घराना है, कभी, ये नहीं सोचा
'अल्ताफ़' रहे मस्त फ़क़ीरी में हमेशा
ठोकर में ज़माना है, कभी, ये नहीं सोचा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Iqbal
our suggestion based on Altaf Iqbal
As you were reading Aurat Shayari Shayari