mere hisse mein diwaaren thi kisi ko dar diye | मेरे हिस्से में दिवारें थी, किसी को दर दिए

  - Altaf Iqbal

mere hisse mein diwaaren thi kisi ko dar diye
yoon na jaane ham ne ghar ke kitne tukde kar diye

har kisi ko lutf aajaaye yahan ye soch kar
ham ne in alfaaz ko phir sher ke paikar diye

haay kya daur-e-jihaalat hai naye shayar yahan
usse aage ud rahe hain jisne inko par diye

haan wahi ik shakhs jis par tha bharosa bhi bahot
bas usi ne dard baksha dil ke tukde kar diye

aaj vo khush hai numaish karke zakhamon ki mere
kal jise main ne hifaazat ke liye patthar diye

ik wahi hamko manaazir mein kahi dik na saka
jis ne in aankhon ko aise khoob tar manzar diye

bepar-o-baali ki khaai mein gire the jo kabhi
hamne un ko bhi udaano ke liye shah par diye

gham hai duniya mein nahin kar paaye kuchh altaaf par
ham ne raushan daan mein chidiya ko nanhen ghar diye

मेरे हिस्से में दिवारें थी, किसी को दर दिए
यूं न जाने हम ने घर के कितने टुकड़े कर दिए

हर किसी को लुत्फ़ आजाये यहाँ ये सोच कर
हम ने इन अलफ़ाज़ को फिर शेर के पैकर दिए

हाय क्या दौर-ए-जिहालत है! नये शायर यहाँ
उस्से आगे उड़ रहे हैं जिसने इनको पर दिए

हाँ वही इक शख्स जिस पर था भरोसा भी बहोत
बस उसी ने दर्द बख्शा, दिल के टुकड़े कर दिए

आज वो ख़ुश है नुमाइश करके ज़ख्मों कि मिरे
कल जिसे मैं ने हिफाज़त के लिए पत्थर दिए

इक वही हमको मनाज़िर में कही दिख ना सका
जिस ने इन आँखों को ऐसे ख़ूब तर मंज़र दिए

बेपर-ओ-बाली कि खाई में गिरे थे जो कभी
हमने उन को भी उड़ानो के लिए शह पर दिए

ग़म है दुनिया में नहीं कर पाए कुछ अल्ताफ़ पर
हम ने रौशन दान में चिडिया को नन्हें घर दिए

  - Altaf Iqbal

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Iqbal

As you were reading Shayari by Altaf Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Iqbal

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari