waqt lagta hai zamaane pe asar hone tak | वक़्त लगता है ज़माने पे असर होने तक

  - Altaf Iqbal

waqt lagta hai zamaane pe asar hone tak
daad ki fikr nahin arz-e-hunar hone tak

aatish-e-hijr mein jalte hain sharar hone tak
bujh na jaaye kahi ham log sehar hone tak

tum kisi ghar ko hiqarat se na dekho yaaro
umr lagti hai yahan thaatt ka ghar hone tak

din guzarta hai isee soch mein har roz mera
raat kis haal mein guzregi sehar hone tak

yun to mushkil bhi magar aaj ghazal ki zulfein
ham sanwaarege yahan raat basar hone tak

aaj un logon ne palkon pe bitha rakha hai
kal ko jo khush the mere zer-o-zabar hone tak

aaya jaaya karo kooche mein hamaare varna
khaak ho jaayenge ham tumko khabar hone tak

ho jo altaaf nigaahon mein kabhi taab-e-nazar
dekhte jaaiye qatre ko guhar hone tak

वक़्त लगता है ज़माने पे असर होने तक
दाद की फ़िक्र नहीं अर्ज़-ए-हुनर होने तक

आतिश-ए-हिज्र में जलते हैं शरर होने तक
बूझ न जाए कहीं हम लोग सहर होने तक

तुम किसी घर को हिक़ारत से न देखो यारो
उम्र लगती है यहाँ ठाट का घर होने तक

दिन गुज़रता है इसी सोच में हर रोज़ मिरा
रात किस हाल में गुज़रेगी सहर होने तक

यूँ तो मुश्किल भी मगर आज ग़ज़ल की ज़ुल्फ़ें
हम सँवारेगे यहाँ रात बसर होने तक

आज उन लोगों ने पलकों पे बिठा रखा है
कल को जो ख़ुश थे मेरे ज़ेर-ओ-ज़बर होने तक

आया जाया करो कूचे में हमारे, वरना
"ख़ाक हो जाएंगे हम तुमको ख़बर होने तक"

हो जो अल्ताफ़ निगाहों में कभी ताब-ए-नज़र
देखते जाईये क़तरे को गुहर होने तक

  - Altaf Iqbal

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Iqbal

As you were reading Shayari by Altaf Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Iqbal

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari