lutf ab zeest ka ai gardish-e-ayyaam nahin | लुत्फ़ अब ज़ीस्त का ऐ गर्दिश-ए-अय्याम नहीं

  - Amanat Lakhnavi

lutf ab zeest ka ai gardish-e-ayyaam nahin
may nahin yaar nahin sheesha nahin jaam nahin

kab mujhe yaad rukh o zulf-e-siyah-faam nahin
koi shaghl is ke siva subh se ta shaam nahin

har sukhun par mujhe deta hai vo bad-khoo dushnaam
kaun si baat meri qaabil-e-inaam nahin

nek-naami mein dila firqa-e-ushshaq hain ishq
hai vo badnaam mohabbat mein jo badnaam nahin

chehra-e-yaar ke saude mein kaha karta hoon
rukh hai ye subh nahin zulf hai ye shaam nahin

bosa aankhon ka jo maanga to vo hans kar bole
dekh lo door se khaane ke ye baadaam nahin

halka-e-zulf-e-butaan mein hai bhari nikhat-e-gul
ai dil is laam mein boo-e-gul-e-islaam nahin

ibtida ishq ki hai dekh amaanat hushyaar
ye vo aaghaaz hai jis ka koi anjaam nahin

लुत्फ़ अब ज़ीस्त का ऐ गर्दिश-ए-अय्याम नहीं
मय नहीं यार नहीं शीशा नहीं जाम नहीं

कब मुझे याद रुख़ ओ ज़ुल्फ़-ए-सियह-फ़ाम नहीं
कोई शग़्ल इस के सिवा सुब्ह से ता शाम नहीं

हर सुख़न पर मुझे देता है वो बद-ख़ू दुश्नाम
कौन सी बात मिरी क़ाबिल-ए-ईनाम नहीं

नेक-नामी में दिला फ़िरक़ा-ए-उश्शाक़ हैं इश्क़
है वो बदनाम मोहब्बत में जो बदनाम नहीं

चेहरा-ए-यार के सौदे में कहा करता हूँ
रुख़ है ये सुब्ह नहीं ज़ुल्फ़ है ये शाम नहीं

बोसा आँखों का जो माँगा तो वो हँस कर बोले
देख लो दूर से खाने के ये बादाम नहीं

हल्क़ा-ए-ज़ुल्फ़-ए-बुताँ में है भरी निकहत-ए-गुल
ऐ दिल इस लाम में बू-ए-गुल-ए-इस्लाम नहीं

इब्तिदा इश्क़ की है देख 'अमानत' हुश्यार
ये वो आग़ाज़ है जिस का कोई अंजाम नहीं

  - Amanat Lakhnavi

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanat Lakhnavi

As you were reading Shayari by Amanat Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Amanat Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari