bhoola hoon main aalam ko sarshaar ise kahte hain | भूला हूँ मैं आलम को सरशार इसे कहते हैं - Amanat Lakhnavi

bhoola hoon main aalam ko sarshaar ise kahte hain
masti mein nahin ghaafil hushyaar ise kahte hain

gesu ise kahte hain rukhsaar ise kahte hain
sumbul ise kahte hain gulzaar ise kahte hain

ik rishta-e-ulfat mein gardan hai hazaaron ki
tasbeeh ise kahte hain zunnar ise kahte hain

mahshar ka kiya wa'da yaa shakl na dikhlai
iqaar ise kahte hain inkaar ise kahte hain

takraata hoon sar apna kya kya dar-e-jaanaan se
jumbish bhi nahin karti deewaar ise kahte hain

dil ne shab-e-furqat mein kya saath diya mera
moonis ise kahte hain gham-khwaar ise kahte hain

khaamosh amaanat hai kuch uf bhi nahin karta
kya kya nahin ai pyaare aghyaar ise kahte hain

भूला हूँ मैं आलम को सरशार इसे कहते हैं
मस्ती में नहीं ग़ाफ़िल हुश्यार इसे कहते हैं

गेसू इसे कहते हैं रुख़्सार इसे कहते हैं
सुम्बुल इसे कहते हैं गुलज़ार इसे कहते हैं

इक रिश्ता-ए-उल्फ़त में गर्दन है हज़ारों की
तस्बीह इसे कहते हैं ज़ुन्नार इसे कहते हैं

महशर का किया वा'दा याँ शक्ल न दिखलाई
इक़रार इसे कहते हैं इंकार इसे कहते हैं

टकराता हूँ सर अपना क्या क्या दर-ए-जानाँ से
जुम्बिश भी नहीं करती दीवार इसे कहते हैं

दिल ने शब-ए-फ़ुर्क़त में क्या साथ दिया मेरा
मूनिस इसे कहते हैं ग़म-ख़्वार इसे कहते हैं

ख़ामोश 'अमानत' है कुछ उफ़ भी नहीं करता
क्या क्या नहीं ऐ प्यारे अग़्यार इसे कहते हैं

- Amanat Lakhnavi
0 Likes

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanat Lakhnavi

As you were reading Shayari by Amanat Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Amanat Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari