uljha dil-e-sitm-zada zulf-e-butaan se aaj
naazil hui bala mere sar par kahaan se aaj
tadapunga hijr-e-yaar mein hai raat chaudahveen
tan chaandni mein hoga muqaabil kataan se aaj
do-chaar rashk-e-maah bhi hamraah chaahiyein
vaada hai chaandni mein kisi meherbaan se aaj
hangaam-e-wasl radd-o-badal mujh se hai abas
niklega kuchh na kaam nahin aur haan se aaj
qaar-e-badan mein rooh pukaari ye waqt-e-naz'a
muddat ke baad uthte hain ham is makaan se aaj
kheenchi hai charkh ne bhi kisi maang ki shabeeh
saabit hui ye baat mujhe kahkashaan se aaj
andher tha nigaah-e-'amanat mein shaam sehar
tum chaand ki tarah nikal aaye kahaan se aaj
उलझा दिल-ए-सितम-ज़दा ज़ुल्फ़-ए-बुताँ से आज
नाज़िल हुई बला मिरे सर पर कहाँ से आज
तड़पूँगा हिज्र-ए-यार में है रात चौदहवीं
तन चाँदनी में होगा मुक़ाबिल कताँ से आज
दो-चार रश्क-ए-माह भी हमराह चाहिएँ
वादा है चाँदनी में किसी मेहरबाँ से आज
हंगाम-ए-वस्ल रद्द-ओ-बदल मुझ से है अबस
निकलेगा कुछ न काम नहीं और हाँ से आज
क़ार-ए-बदन में रूह पुकारी ये वक़्त-ए-नज़अ
मुद्दत के बाद उठते हैं हम इस मकाँ से आज
खींची है चर्ख़ ने भी किसी माँग की शबीह
साबित हुई ये बात मुझे कहकशाँ से आज
अंधेर था निगाह-ए-'अमानत' में शाम सहर
तुम चाँद की तरह निकल आए कहाँ से आज
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amanat Lakhnavi
our suggestion based on Amanat Lakhnavi
As you were reading Andhera Shayari Shayari