dikhlaaye khuda us sitam-iijaad ki soorat | दिखलाए ख़ुदा उस सितम-ईजाद की सूरत - Amanat Lakhnavi

dikhlaaye khuda us sitam-iijaad ki soorat
istaada hain hum baagh mein shamshaad ki soorat

yaad aati hai bulbul pe jo bedaad ki soorat
ro deta hoon main dekh ke sayyaad ki soorat

azaad tire ai gul-e-tar baag-e-jahaan mein
be-jaah-o-hashm shaad hain shamshaad ki soorat

jo gesoo-e-jaanaan mein phansa phir na chhuta vo
hain qaid mein phir khoob hai miyaad ki soorat

kheenchenge mere aaina-rukhsaar ki tasveer
dekhe to koi maani-o-bahzaad ki soorat

gaali ke siva haath bhi chalta hai ab un ka
har roz nayi hoti hai bedaad ki soorat

kis tarah amaanat na rahoon gham se main dil-geer
aankhon mein fira karti hai ustaad ki soorat

दिखलाए ख़ुदा उस सितम-ईजाद की सूरत
इस्तादा हैं हम बाग़ में शमशाद की सूरत

याद आती है बुलबुल पे जो बेदाद की सूरत
रो देता हूँ मैं देख के सय्याद की सूरत

आज़ाद तिरे ऐ गुल-ए-तर बाग़-ए-जहाँ में
बे-जाह-ओ-हशम शाद हैं शमशाद की सूरत

जो गेसू-ए-जानाँ में फँसा फिर न छुटा वो
हैं क़ैद में फिर ख़ूब है मीआद की सूरत

खींचेंगे मिरे आईना-रुख़्सार की तस्वीर
देखे तो कोई मानी-ओ-बहज़ाद की सूरत

गाली के सिवा हाथ भी चलता है अब उन का
हर रोज़ नई होती है बेदाद की सूरत

किस तरह 'अमानत' न रहूँ ग़म से मैं दिल-गीर
आँखों में फिरा करती है उस्ताद की सूरत

- Amanat Lakhnavi
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanat Lakhnavi

As you were reading Shayari by Amanat Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Amanat Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari