baani-e-jaur-o-jafaa hain sitam-iijaad hain sab | बानी-ए-जौर-ओ-जफ़ा हैं सितम-ईजाद हैं सब

  - Amanat Lakhnavi

baani-e-jaur-o-jafaa hain sitam-iijaad hain sab
raahat-e-jaan koi dilbar nahin jallaad hain sab

kabhi tooba tire qamat se na hoga baala
baatein kehne ki ye ai ghairat-e-shamshaad hain sab

mizaa o abroo o chashm o nigaah o ghamza o naaz
haq jo poocho to meri jaan ke jallaad hain sab

sarv ko dekh ke kehta hai dil-e-basta-e-zulf
ham girftaar hain is baagh mein azaad hain sab

kuchh hai behooda o naqis to amaanat ka kalaam
yun to kehne ko fan-e-sher mein ustaad hain sab

बानी-ए-जौर-ओ-जफ़ा हैं सितम-ईजाद हैं सब
राहत-ए-जाँ कोई दिलबर नहीं जल्लाद हैं सब

कभी तूबा तिरे क़ामत से न होगा बाला
बातें कहने की ये ऐ ग़ैरत-ए-शमशाद हैं सब

मिज़ा ओ अबरू ओ चश्म ओ निगह ओ ग़म्ज़ा ओ नाज़
हक़ जो पूछो तो मिरी जान के जल्लाद हैं सब

सर्व को देख के कहता है दिल-ए-बस्ता-ए-ज़ुल्फ़
हम गिरफ़्तार हैं इस बाग़ में आज़ाद हैं सब

कुछ है बेहूदा ओ नाक़िस तो 'अमानत' का कलाम
यूँ तो कहने को फ़न-ए-शेर में उस्ताद हैं सब

  - Amanat Lakhnavi

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanat Lakhnavi

As you were reading Shayari by Amanat Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Amanat Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari