subh-e-visaal-e-zeest ka naqsha badal gaya | सुब्ह-ए-विसाल-ए-ज़ीस्त का नक़्शा बदल गया

  - Amanat Lakhnavi

subh-e-visaal-e-zeest ka naqsha badal gaya
murgh-e-seher ke bolte hi dam nikal gaya

daaman pe lotne lage gir gir ke tifl-e-ashk
roye firaq mein to dil apna bahl gaya

dushman bhi gar mare to khushi ka nahin mahal
koi jahaan se aaj gaya koi kal gaya

soorat rahi na shakl na ghamza na vo ada
kya dekhen ab tujhe ki vo naqsha badal gaya

qaasid ko us ne qatl kiya purze kar ke khat
munh se jo us ke naam hamaara nikal gaya

mil jaao gar to phir wahi baaham hon sohbaten
kuchh tum badal gaye ho na kuchh main badal gaya

mujh diljale ki nabz jo dekhi tabeeb ne
kehne laga ki aah mera haath jal gaya

jeeta raha uthaane ko sadme firaq ke
dam vasl mein tira na amaanat nikal gaya

सुब्ह-ए-विसाल-ए-ज़ीस्त का नक़्शा बदल गया
मुर्ग़-ए-सहर के बोलते ही दम निकल गया

दामन पे लोटने लगे गिर गिर के तिफ़्ल-ए-अश्क
रोए फ़िराक़ में तो दिल अपना बहल गया

दुश्मन भी गर मरे तो ख़ुशी का नहीं महल
कोई जहाँ से आज गया कोई कल गया

सूरत रही न शक्ल न ग़म्ज़ा न वो अदा
क्या देखें अब तुझे कि वो नक़्शा बदल गया

क़ासिद को उस ने क़त्ल किया पुर्ज़े कर के ख़त
मुँह से जो उस के नाम हमारा निकल गया

मिल जाओ गर तो फिर वही बाहम हों सोहबतें
कुछ तुम बदल गए हो न कुछ मैं बदल गया

मुझ दिलजले की नब्ज़ जो देखी तबीब ने
कहने लगा कि आह मिरा हाथ जल गया

जीता रहा उठाने को सदमे फ़िराक़ के
दम वस्ल में तिरा न 'अमानत' निकल गया

  - Amanat Lakhnavi

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanat Lakhnavi

As you were reading Shayari by Amanat Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Amanat Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari