bechain ye dil hai tire deedaar ki khaatir | बेचैन ये दिल है तिरे दीदार की ख़ातिर

  - Amatul Hai Wafa

bechain ye dil hai tire deedaar ki khaatir
thukra diya duniya ko tire pyaar ki khaatir

aankhon mein hai dam hasrat-e-deedaar ki khaatir
kuchh der ko aa jaaie beemaar ki khaatir

jab taaj-mahal ban gaya katwaaye gaye haath
ik shah ne ki yun fan-e-me'maar ki khaatir

ham jaan bhi de den jo ishaara ho udhar se
manzoor har ik zulm hai dildaar ki khaatir

qismat meri kutiya ki jaga jaayen kisi din
aankhen hain bichaaii hui sarkaar ki khaatir

ham tishna-b-lab saahil-e-dariya se chale aaye
ye karb bhi jhela dil-e-khuddaar ki khaatir

mehnat bhi mashqat bhi karoon kyun na wafa main
hai farz mera apne parivaar ki khaatir

बेचैन ये दिल है तिरे दीदार की ख़ातिर
ठुकरा दिया दुनिया को तिरे प्यार की ख़ातिर

आँखों में है दम हसरत-ए-दीदार की ख़ातिर
कुछ देर को आ जाइए बीमार की ख़ातिर

जब ताज-महल बन गया कटवाए गए हाथ
इक शाह ने की यूँ फ़न-ए-मे'मार की ख़ातिर

हम जान भी दे दें जो इशारा हो उधर से
मंज़ूर हर इक ज़ुल्म है दिलदार की ख़ातिर

क़िस्मत मिरी कुटिया की जगा जाएँ किसी दिन
आँखें हैं बिछाई हुई सरकार की ख़ातिर

हम तिश्ना-ब-ल्ब साहिल-ए-दरिया से चले आए
ये कर्ब भी झेला दिल-ए-ख़ुद्दार की ख़ातिर

मेहनत भी मशक़्क़त भी करूँ क्यों न 'वफ़ा' मैं
है फ़र्ज़ मिरा अपने परिवार की ख़ातिर

  - Amatul Hai Wafa

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amatul Hai Wafa

As you were reading Shayari by Amatul Hai Wafa

Similar Writers

our suggestion based on Amatul Hai Wafa

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari