ho rang-e-shafaq jaise rukh-e-shaam mein utara
vo meri nigaahon ke dar-o-baam mein utara
vaa hone lage saare ummeedon ke dariche
jab tera tasavvur dil-e-na-kaam mein utara
jab khoon-e-jigar ghol diya ham ne sukhun mein
tab ja ke kahi hai rag-e-hangaam mein utara
jab jazba-e-dil safha-e-qirtaas pe aaya
tab aks-e-daroo'un sheesha-e-paighaam mein utara
jab saara safar kat gaya be-yaar-o-madadgaar
ik haath falak se hai tab anjaam mein utara
हो रंग-ए-शफ़क़ जैसे रुख़-ए-शाम में उतरा
वो मेरी निगाहों के दर-ओ-बाम में उतरा
वा होने लगे सारे उम्मीदों के दरीचे
जब तेरा तसव्वुर दिल-ए-ना-काम में उतरा
जब ख़ून-ए-जिगर घोल दिया हम ने सुख़न में
तब जा के कहीं है रग-ए-हंगाम में उतरा
जब जज़्बा-ए-दिल सफ़्हा-ए-क़िर्तास पे आया
तब अक्स-ए-दरूँ शीशा-ए-पैग़ाम में उतरा
जब सारा सफ़र कट गया बे-यार-ओ-मददगार
इक हाथ फ़लक से है तब अंजाम में उतरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar Abid
our suggestion based on Ambar Abid
As you were reading Musafir Shayari Shayari